Social Sites par aisa kya share
karein jo time waste hone se bachaye aur aisa kya share karein jo fayada
pahuchaye
Har social
sites jispar log apne vichaar,location,kya kar rahe hain kisi samay ko update
karte hain, Sabhi prakaar ke social sites 2002-2006 ke beech mein hi aaye
hain.Samay ke sath jaise har cheejo mein badlav aata hai theek vaise badlav
esme bhi aaye hain,kai suvidhaon ko joda gya hai esme…seedhe us mudde par aata
hoon jo ki es post ke madhyam se kahna chahta hoon….pls read carefully..
Social sites
par adhiktar log pics hi upload karte hain to usi baat par charcha karta hoon
ki yadi pics upload kar hi rahein hain to kis tarah ki pics upload karein jisse
samay ka nuksaan na ho aur kya upload karein jisse samay ka sahi use ho sake
aur apke sath – sath dosto ko bhi apke post se fayada mile.
Maan lijiye
aap kisi hero-heroin ki pics upload karte hain to vah pic apke friends ki
timeline mein show hoga aur kuch like,comment milega jisse apko 1% ka bhi
fayada nahi hone wala hai aur na hoga.
Mere vichaar
se aise pics upload karein jo aane wale time ke liye helpful bane jaise apke
exam ke liye,sanskaaro ke liye etc. ap jante hi hain aisi pics ko…mana aap
padhai kar rahe hain to lagataar padh to sakte nahi usi beech jo padh rahe hain
usi mein kisi topic ki pic google se search karke uske bare mein likh kar post
kariye jisse apke sath- 2 apke dosto ko
bhi fayada mile.
Kabhi kabhaar
jab man ube to chhoti stories , shayarian , joke , poem likhein aur use post
karein jisse sochne ki kshmta badhegi aur logo ko accha bhi lagega apko tareef
bhi milegi apne dwara banayi gayi drawing bhi post kar sakte hain..
Photos mein
phir aate hain…pics apne dwara kheenchi hui upoad kariye to apko accha lagega
jab log uski sacchi tareef kareinge…
Ayush
Jaiswal,
Sonha bajar
basti u.p
272190.
No comments:
Post a Comment